Tuesday, February 5, 2013

CHINGAARI

zeena zeena chrhta jaye....sooraj aag pkrta jaye...taaron ko le kr daaman mein..phoolon mein rung bharta jaye...dhoop mein bethy din chrha...meine dekhy apny haath...rayt k nanhay zarray dekhy...dekhy khass-o-khashaak...bagh bahar aur rung takk k...dil khushi sy jhoomta jaye...dil chahye yahin fanaa hona...aur khud ko bhoolta jaye...meine ghor kiya to dekha...kuch sooraj thy nanhy nanhy say...phir ghor kiya ...to dekha...woh sb matti k zarray thy...choty say lateef say...khafeef say...aur un mein taaron ki c jhilmil...unki tmtmahat dekh kr...ikk baar ko chonka mera dil...itny mein mery hath py aa k ...bethi ik nanhi titli...kainat ka her rung tha us mein...khoobsurat khayal-e-yaar jitni...titli dekhi ... hath bhi dekha...yeh raaz mjh py khul rha tha...woh zarray mujhi say uth rhy thy...mein he faza mein ghul rha tha...tann ki taabnaaki dekh kr...mein mann ki galiyon mein..chal nikla....jahan sooraj ki kiran na aati hai...jahan rooh ka ujala hota hai....meine dekha k sunsaan hai sb...khizaan nay deray dalay hain...koocha koocha...weraan hai sb...mann ki yeh halat dekh kr...bdhti hai dil ki baygari...phir zulmat kadah-e-jaan mein...dikhti hai mujh ko ik chingaari...paas paa k mjh ko...us nay zuban kholi...boli...kabhi mann ko bhi surma dala kr...kabhi mann ko bhi nehlaya kr...kabhi mann k baalon mein tayl daal....kabhi mann k bhi baal bnaya kr...tu tann k peechay bhagay hai...tu zahir ka pujaari hai...tann to faza mein ghull rha...rooh ka safar to jaari hai...jisay ab tak shola hona tha...yeh dekh!! mehaz chingaari hai...tann sanwaray, tann sanwray...mann sanwarey, sub sanwray...sun! O musht-e-khaak sun!!!tujh mein sb ajzaa hain taaron k...mann k deep jala k dekh...tu laiq nhi angaaron k ... tu laiq nhi angaaron k ...(M.Qudratullah)

No comments:

Post a Comment